Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare

 Abhi Tak Aapne Wapka Website Bana liye,Kya Aap Wapka Website Me Song Upload Karna Chahte Hai?Mai Aapko Is Post Me Batane Wala Hu Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare(How To Upload Song On Wapka Website).Wapka Website Create Karne Ke Bad Sabhi Log Apne Song Ko Upload Karna Chahte Hai.Wapka Website Me Song Ko Upload Karne Se Phle Song Ki Folder Our Category Banana Padhta Hai,Bina Category Create Kiye Aap Koi Bhi Song,Video,Image,Software,Ringtone etc  Ko Wapka Website Me Direct Upload Nhi Kar Sakte Hai.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare


Maine Wapka Website Me Song Ke Liye Folder Kaise Banaye Ye Bataya Tha Aap Ise Padh Kar Wapka Me Apna Folder Create Kare.Ab Aapko Us Folder Ke Liye Category Create Karna Bhut Jaruri Hai.Wapka Website Me Category Kaise Banaye Maine Yaha Bataya Hai Aap Yaha Se Padh Kar Aap Content Manager Se Apne Song Ke Liye Category Bana Sakte Hai.Agar Aapne Abhi Tak Ye Sab Kar Liya Hai To Ab Aap Wapka Website Me Song Upload Karne Ke Liye Ready Hai.


Wapka Website Par Song Kaise Upload Kare


Wapka Website Par Song Upload Karna Bhut He Simple Hai,Aap Aarm Se Kisi Problem Ke Wapka Website Me Song Ko Upload Kar Sakte Hai.To Chaliye Aap Hamari Kuch Step Ko Follow Kare.

Step 1. Sabse Pahle Aap Wapka Website Me Login Kare.

Step 2. Ab Aapne Website Par Click Kare.

Wapka-Website-Par-Song-Kaise-Upload-Kare

Step 3. Ab Aap Content Manager Par Click Kare.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare

Step 4. Ab Hame Music Upload Karna Hai To Aap Music Par Click Kare.

Step 5. Ab Aapke Samne Category Open Hoga.Yaha Aap Kis Category Ke Music uploads Karna Chahte Hai Wo, Select Kare.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare


1. Music Category Par Click Kare.
2. Upload Par Click Kare.

Step 6. Ab Aapke Samne Ek Page Open Hoga.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare

1. Choose File Par Click Kar Apna Song Ko Select Kare.
2. Song Upload Karne Ke Liye Upload Par Click Kare.

Step 7. Ab Aapka Song Upload Hona Start Ho Chuka Hai.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare

Song Upload Kart Time Aap Yaha Se Song Me Tittle Ot Description Add Kar Sakte Hai.Sabhi Information Fell Karne ke Bad Submit Par Click Kare.

Step 8. Ab Aapka Song Successfully Upload Ho Chuka Hai.Ab Aapko Upar Successful Ka Message Show Karega.


Note- Ab Aapne Song Upload Kar Liya Hai But Abhi Aapka Song Aapke Wapka Website Ke Folder Me Show Nhi Karega Iske Liye Aapko Ek Code Me Apne Folder Me Add Karna Hai Jiske Bare Me Aap Niche Step By Step Follow Kare.

Step 9. Ab Aapne Jis Category Me Song Ko Upload Kiya Hai Uspar Click Kare.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare

Step 10. Ab Upar New Page Par Click Kare.Uske Bad WML/HTML Code Par Click Kar Add Par Click Karna Hai Jaisa Ki Aap Image Me Dekh Rahe Hai.


Step 11. Ab Ek Code Box Open Hoga.Yaha Aap Niche Diya Gya Code Ko Copy Kare.


Ab Aapko Upar Diya Gya Code Me Kuch Edit Karna Hai.

Your Tittle Ki Jagah Apne Category Ka Tittle Add Kare.
Your Id Ki Jagah Apne Category Ka CID Code Add Kare.

Step 12. Ab Code Edit Karne Ke Bad Niche Diya Gya Box Me Past Kare,Ab Submit Button Par Click Kare.

Wapka Website Me Song Kaise Upload Kare

*Wapka Par Music Ki Website Kaise Banate Hai



I Hope Dosto Aapko Meri Post Jarur Pasand Aayi Hogi.Mai Is Tarah Our Bhi Wapka Website Ke Tricks Hindi Me Share Karta Rahunga.Agar Aapko Meri Post Acchi Lagi Hai To Plese Share Kare Our Comment.

Post a Comment

0 Comments